Read & Enjoy All Type of Poetry, Stories, Text messages and much more......

Sunday, April 20, 2008

Shayaries From Fanna Movie

Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaaye
Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaaye.
…………………………………………………………..

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.
…………………………………………………………..

Aag suraj main hoti hai ,
Jalna dharti ko padta hai
 mohabbat aankhen karti hain ,
tadapna dil ko padta hai
…………………………………………………………..

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai….
…………………………………………………………..

Phool hun Gulaab ka
Chameli ka mat samjhna
Aashiq hun aapka
Apni Saheli ka mat samjhna
…………………………………………………………..

Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..
…………………………………………………………..

Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte
…………………………………………………………..

RONE DE TU AAJ HAMAKO TU AANKHE SUJANE DE
BAHO ME LELE AUR KHUD KO BHEEG JANE DE
HAI JO SEENE ME QUAID DARIYA WO CHUT JAYEGA
HAI ITANA DARD KI TERA DAMAN BHEEG JAYEGA..
…………………………………………………………..

Adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren ham
Magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham
…………………………………………………………..

0 comments:

Powered by Blogger.

© 2011 Aadab Arz Hai..., AllRightsReserved.

Designed by ScreenWritersArena