Read & Enjoy All Type of Poetry, Stories, Text messages and much more......

Showing posts with label Hindi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Hindi Poetry. Show all posts

Sunday, May 25, 2008

Kisi ne pucha dost kya hai?

Kisi ne pucha dost kya hai?
Maine kanto par chal kar bata diya,
Kitna pyar karoge dost ko?
Maine pura aasman dikha diya,
Kaise rakhoge dost ko?
Maine halke se phoolon ko sehla diya,
Kisi ki nazar lag gayi to?
Maine palkon mein uss ko chupa liya,
Jaan se bhi pyara dost kise kehte ho?
Maine tera naam bata diya.

Read More

Sunday, April 20, 2008

Shaher ki is daud me daud ke karna kya hai?

Shaher ki is daud me daud ke karna kya hai?
From:- Lage Raho Munna Bhai



Shaher ki is daud me daud ke karna kya hai?
Jab yehi jeena hai dosto to phir marna kya hai?

Paheli barish me train late hone ki fikr hai
Bhul gaye bhigte hue tahelna kya hai?

Serails ke kirdaaro ka saara haal hai malum
par maa ka haal puchhne ki fursat kise hai?

Ab ret pe nage pao tahelte kyu nahi?
108 hai chanel phir dil bahelte kyu nahi?

Internet ki duniya ke to touch me hai,
lekin pados me kon raheta hai jaante tak nahi.

Mobile, Landline sab ki bharmaar hai,
Lekin jigri dost tak pahuche aise taar kaha hai?

Kab dubte hue suraj ko dekha tha yaad hai?
Kab jaana tha shaam ka woh banana kya hai?

To Dosto Shaher ki es daud me daud ke karna kya hai
Jab yahi jeena hai to phir Marna kya hai?




Read More

Friendship Shayari & Poems

lafz aap do, geeth hum banayenge
manzil aap pao, raasta hum banayenge,
khush ap raho khushiyan hum dilayenge ,
ap bas dost bane raho, dosti hum nibhayenge

2)log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain
itna darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain

main na jugnu hun diya hun na koi tara hun
roshni wale mere nam se jalte kyun hain

nind se mera talluq hi nahin barson se
khwab aake meri chat pe tahalte kyun hain

mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye
aur sab log yahin ake phisalte kyun hain

3)Mohabbat me hum mashoor kya huwe..
har harkat humari deewangi lagnay lagi..
lafz jo niklay haal-e-dil ka bayan karne ,
zamane ko har wo baat shahyari lagnay lagi

4)Aap ki Hasi Kabhi Kam naa Ho
Aapki Aankh kabhi Aasuon se Nam naa Ho.
Mile Zindagi me Har Khushi Aapko.
Bhale uss Khushi me Hum ho naa Ho

5)dosti hum ne khoob nibhayi hai….
dosti aur pyaar me na koi dewaar banayi hai….
log to dosti karte hain chehre dekh kar….
par aap ne to dosti ki ek alag pehchaan di hai

Read More

Ankho Se Ansu Chura Lete Hai Wahi Log

Rastho mei mila karte hai kayi log

Phir Zindagi ka hisa ban jaye karte hai wahi log

Ankho se ansu chura lete hai wahi log

Dadhkano ka silsila badate hai wahi log

Koobsurat si raho per chalate hai wahi log

Ummedo ka diya jalte hai wahi log

Hume hum se churate hai wahi log

Janamo janamo tak saath dege wada karte hai wahi log

Jina sikhate sikhate phir tanha kyo kar jate hai wahi log..

Read More

Saturday, April 19, 2008

Kaho na…

Soona.. Soona mann ka aangan
dhunde payal ki woh chann chann
sooni..sooni mann ki sargam
dhunde geet tere humdum

mann shyam ho ya sawera
lagaa teri hi yaadon ka dera
tune bandhan kyon ye toda
tune kaahe ko mu moda
kaho na kaho na kaho na

kaise kaate sooni raatein
kaho na..kaho na

kaise bhoolein bite baatein
kaho na..kaho na

kaise thame phir tera daaman
kaise meheke mann ka ye aangan
kaise bhoole preet teri saajan
kasie baandhen toota ye bandhan

mann shyam ho ya sawera
laga teri hi yaadon ka dera
tune bandhan kyon ye toda
tune kahe ko mu moda
kaho na kaho na kaho na
kaho na…

Read More

Mat Roko Mujhe.....

Mat roko rone do mujhe, Aansuon ko pee jane do…..
Woh chali gayi apni yaaden dekar, Uski yaadon mein he Kho jane do…..

Har pal roti hai aankhe meri, Ke ashkon ko bhi jum jane do…..
Ab to din ke ujale se bhi dar lagta hai, Mujhe raat ke andhere me kho jane do…..

Kaise bayaan karoon dil ka dard lafzon me, Ankho ko he sab keh jane do…..
Ab saha nahi jata usse judaai ka dard, Ke zahar ko hi mukti samajh kar apnane do…..

Ab koi tamanna nahi meri jeeene ki, Mujhe mout ke pehlu me so jane do….

Read More

Koi To Ho Aisa...

koi to ho aisa jisse aap sab baat sako
koi to ho aisa jisse bina jhijhak sab keh sako….

koi to ho aisaa ke jiske hone se sab acha lagne lage
koi to ho aisa ke jis pe aitbaar kar sako ….

koi toh ho jo humare jeeene ki waajaha baan jaye
jis k liye hum haase jis k liye muskuraye….

koi to ho jo is berang duniya ko rang jaye
jis ke sang har rang me rangne ko ji chahe….

koi toh ho jo tumhari roti hue aaakho ko haasa de
koi toh ho jo tumhare khamosh laabo ko chehaka de….

koi to ho jiske ek pal ka saath me zindagi ji sako
jis ke sang har lamha zindagi ban jaye….

koi to ho yaaar… koi to ho…..

Read More

एक रात

एक रात

अँधियारे जीवन-नभ में
बिजुरी-चमक गयी तुम!

सावन झूला झूला जब
बाँहों में रमक गयीं तुम!

कजली बाहर गूँजी जब
श्रुति-स्वर-सी गमक गयीं तुम!

महकी गंध त्रियामा जब
पायल-झमक गयीं तुम!

तुलसी-चौरे पर आकर
अलबेली छमक गयीं तुम!

सूने घर-आँगन में आ
दीपक-सी दमक गयीं तुम!

Read More

Thursday, November 1, 2007

Pati Aur Patni

New romantic film thi
Hall mein manchalo ka shor tha
Har taraf ole-ole aur ilu-ilu ka bada shor tha
Ek pati patni hall mein ladte jhagadte kuch der se aye
Film shuru ho chuki thi na jane kis kis se takrai

Dhakka mukki ka ras paan karte kabhi jeete kabhi marte
Aakhir kaar aapni seat pur a gaye
Mano pahado ko paar karke everest hi pa gaye
Film puri hui patni khili aur pati muskuraya
Bola bhagyavaan bahut khush ho kya film itni bha gai
Ki teri rooni surat par bhi hasi aa gaye

Patni sharmai thodi aur paas aye aur boli
Aji hato aap ne bhi to aaj kamal kar diya
Poori film mein sehla -sehla kar mera gaalon ko laal kar diya

Sun kar pati ka sar chakrane laga
Kya majra hai sab samajh aane laga
Ki koi manchala aapna dil behla gaya
Patni ke naram galoon ko jam kar sehla gaya
Read More

Aisi Apni Wife Ho

Aise apni wife ho,
5'5" jiski height ho,
Jeans jiski tight ho,
Chehra jiska bright ho,
Weight mein thodi light ho,
Umar me difference slight ho,
Thodi si woh quiet ho,
Aise apni wife ho.

Sadak per sab kahe kya cute ho,
Bheed me sab kahe side ho-side ho,
INDIA ki paidaish ho,
Saas ki seva jiski khwahish ho,
Aisi apni wife ho.

Padosi jab baat kare to haath me knife ho,
Candle light dinner ho,
Dono me kabhi na fight ho,
Milne ke baad dil delight ho,
Hey PRABHU teri archana uski life ho,
Yeh kavita padhke sab kahe "Guru tum right ho",
Aisi apni wife ho.

Kaash yeh concept 0.000001 % bhi right ho,
Agar aisi apni wife ho to kya haseen life ho,
Har Kisi ki yeh farmaish ho,
kudrat ki bhi aajmaish ho,
Khudah ke software mein bhi debug ki na gunjaish ho,
Ay kaash kahin to ek aisi paidaish ho,Aisi apni wife ho!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Read More

Ansoo

Kuch is tarha meri ankho mein basy hein Ansu
Hont chup hein to zuban ban k sajey hein Ansu

khudhi dekar meri Ankho mein yah sare Ansu
Poochte hai ki baata kisney diya hein Ansu

Faarq itna sa hai chaahat mein meri aur uski
usko khushiyan hi mili mujhko mile hein Ansu

Jisko her ghum se bachaya tha meri chahat ne
Aaj us shaks ne Ankho mein diye hain Ansu

Dekhty kia ho meri Aankh se niklaa Ansu
Ankh meri ha magar uske saje hein Ansu

Khud to aram se wo mujhko bhula bethi hai
jiski chahat ki saza mein yeh miley hein Ansu

Yeh meri ankh nahi rait ka sehra hai jahan
khushk ankho mein kali ban k khiley hein Ansu

Apne jis hath sey likha tha usey sari umar
kup kapati usi ongli sey meete hein Ansu!!!
Read More

Jab Meraa Dil Toda Hoga

Jab Meraa Dil Toda Hoga
Usne Kuch To Socha Hoga
Meri Yaad To Aati Hogi
Mera Naam To Leti Hogi
Jis Ki Khaatir Hum Rote Hein
Wo Bhi Meri Khatir Roti Hog
iKyon Us Ka Dil Maine Torda?
Apne Dil Se Kehti Hogi
Taktii Hogi meri Raahein
Chaukhat Pe Wo Baithi Hogi
Sote-Sote Raaton Ko Wo
Har Aahat Pe Chaunki Hogi
Na Main Ho Na Mere Khat Hai
Woh Kitnii Tanhaa Hogi
Meri Ghazlein Sun-Sun Kar
Dil Ko Apnay Jalati Hogi
Read More

Woh Tanha Thi...

Ek Rah Per Sari Umer Chaley
Ek Dojey Ko Na Samjh Sakey
Jeevan Ka Safer Anjaan Safer
Bay Khahish Bay Araam Safer
Jevan Ke Kissi Bhi Dukh Sukh Main
Woh Meray Saath Shareek Nahin
Hum Dono Main Ek Rishta Hai
Per Jazboon Ki Tehreek Nahin
Jari Hai, Mager Anjaan Safer
Main Sochta Hoon Aik Din Yunhi
Woh Mujh Sey Juda Ho Jayegi
Ya Pehlay Main Mar Jaonga
Ya Shaid Woh Mar Jayegi
Phir Loug Kahin Gay Inka
Yeh Rishta Kitna Sacha Tha
Per Kiss Ko Khaber, Sara Jeevan
Woh Tanha Thi…
Main Tanha Tha.......
Read More

MERE TOOTE HUE DIL KO

MERE TOOTE HUE DIL KO, SAHARA KON DEGA
MERI TOOFAAN ME KASHTI HAI, KINARA KON DEGA

YEH KESE MOR PE LAAI HA MUJKO ZINDIGANI
ADHOORI SI LIKHI GYEE HA KYUN MERI KAHANI

HA AB KIS RAAH PE CHALNA ISHARA KON DEGA
MERE TOOTE HUE DIL KO SAHARA KAUN DEGA

MAIN HOON OUR SATH MERE AB MERI TANHAAYAN HAIN
MERI TAQDEER SE MUJKO MILI RUSWAYIAN HAIN


MERI ANKHON KO KHUSHION KA NAZARA KAUN DEGA
MERE TOOTE HUE DIL KO SAHARA KAUN DEGA
Read More

Roye Hain Bohot...

Roye Hain Bohot Tab Zara Qaraar Mila Hain,
Is Jahan Mein Kise Bhala Sacha Pyar Mila Hain,

Guzar Rahin Hain Zindagi Imtehaan Ke Dour Se,
Ek Khatam Huwa To Doosra Taiyyaar Mila Hain,

Mere Daaman Ko Khusyhiyo Ka Nahin Malaal,
Gham Ka Khazaana To Ise Beshumaar Mila Hain,

Woh Kamnaseeb Hain Jinhe Mehboob Mila Hain,
Main Khushnaseeb Hoon Mujhe Intezaar Mila Hain.
Read More

Karvan Gujar Gaya

Swapan jhade phool se, meet chubhe shool se
Lut gaye singar sabhi bagh ke babool se
Aur hum khade-khade, bahar dekhte rahe
Karvan gujar gaya, gubar dekhte rahe

Neend bhi khuli na thi ki haye dhoop dhal gayi
Paaon jab talak uthe ki jindagi fisal gayi
Paat paat jhar gaye ki shaakh-shaakh jal gayi
Chah to nikal saki na par umar nikal gayi
Geet ashk ban gaye, chand ho dafan gaye
Sath ke sabhi diye, dhuan pahan-pahan gaye
Aur hum jukhe jukhe, mod par ruke ruke
Umar ke chadav ka uttaar dekhte rahe
Karvan gujar gaya, gubar dekhte rahe

Kya shabab tha ki phool phool pyar kar utha
Kya shringar tha ki dekh aaina sihar utha
Is taraf jameen aur aasma udhar utha
Thaam kar jigar utha ki jo mila nazar utha
Ek din magar yahan, aisi kuch hawa chali
Loot gayi kali kali ki ghut gayi gali-gali
Aur hum lute-lute, waqt se pite pite
Sans ki sharab ka khumaar dekhte rahe
Karvan guzar gaya, gubar dekhte rahe

Ho saka na kuch magar, shaam ban gayi sahar
Wah uthi lahar ki dah gaye kile bikher-bikher
Aur hum dare-dare, neer nayan main bhare
Odhkar kafan, pade mazaar dekhte rahe
Karvan guzar gaya, gubar dekhte rahe

Maang bhar chali ki ek, jab nayi nayi kiran
Dholkein dhoomak uthi, thumak uthe charan-charan
Shor mach gaya ki lo chali dulhan, chali dulhan
Gaon sab umad padad, bahak uthe nayan nayan
Par tabhi jahar bhari, gaaj ek wah giri
Puch gaya sindur tar-tar hui chunari
Aur hum anjaan se, dur ke makaan se
Palaki liye hue kahaar dekhte rahe
Karvan guzar gaya, gubar dekhte rahe
Read More

Tuesday, March 13, 2007

★ ★ Aansoo May Na Dhoondna Humey★ ★

Aansoo May Na Dhoondna Humey,
Dil May Hum Bas Jaayenge,

Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.

Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayenga,
Chund Lamhoo May Daaman Choot Jaayega

Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi May Aa Jayega.

Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,

Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,

Waqt To HumeyBhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,

Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,

Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,

Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.

Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,

Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge!!!!!
Read More

Thursday, December 7, 2006

★ ★ ★ ZINDAGI ★ ★ ★

Tufan mein kashti ko kinare bhi milte hain.
Jahaan mein logon ko sahare bhi milte hain

Duniya mein sabse pyari hai zindagi
Kuch log zindagi se pyare bhi milte hain.

Har kadam pe imtihaan leti hai Zindagi
Har waqt naye sadme deti hai Zindagi

Hum Zindagi se shikwa kaise kare?
Aap Jaise Pyaare Dost Bi tho deti hai Zindagi.

Read More
Powered by Blogger.

© 2011 Aadab Arz Hai..., AllRightsReserved.

Designed by ScreenWritersArena