Kuch is tarha meri ankho mein basy hein Ansu
Hont chup hein to zuban ban k sajey hein Ansu
khudhi dekar meri Ankho mein yah sare Ansu
Poochte hai ki baata kisney diya hein Ansu
Faarq itna sa hai chaahat mein meri aur uski
usko khushiyan hi mili mujhko mile hein Ansu
Jisko her ghum se bachaya tha meri chahat ne
Aaj us shaks ne Ankho mein diye hain Ansu
Dekhty kia ho meri Aankh se niklaa Ansu
Ankh meri ha magar uske saje hein Ansu
Khud to aram se wo mujhko bhula bethi hai
jiski chahat ki saza mein yeh miley hein Ansu
Yeh meri ankh nahi rait ka sehra hai jahan
khushk ankho mein kali ban k khiley hein Ansu
Apne jis hath sey likha tha usey sari umar
kup kapati usi ongli sey meete hein Ansu!!!
Thursday, November 1, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Powered by Blogger.
0 comments:
Post a Comment