Read & Enjoy All Type of Poetry, Stories, Text messages and much more......

Thursday, November 1, 2007

Exam Shayaries {Must Read}

Exams ke 4 din pehle syllabus dekha to yaad aaya
KUCH TO HUA HAI KUCH HO GAYA HAI,
Exams ke din paper dekh kar yaad aaya
SAB KUCH ALAG HAI SAB KUCH NAYA HAI....
-----------------------------------------------

Hawaoun ne rookh hai badla,
Chehron pe udasi chayi hai,
Kahan pehle parties, masti aur hath me dew thi,
Ab to bas xeroxed notes,
Sukhe biscuit aur ye padhai hai.......
-----------------------------------------------

Book khulte hai, Exam ka sama hota hai...
Aise mausam mein hi toh Dimak kharab hota hai...
Dimag ki baatien Paper pe nahi aati...
Yeh fasana toh Mark Sheet pe baya hota hai...
-----------------------------------------------

Sagar jitna course hai,
Nadi bhar hum padte hai,
Balti bhar dimaag me jata hai,
Mug bhar likte hai,
Chullu bhar no. ate hai,
Jisme dub kar hum mar jate hai!
-----------------------------------------------

Exams ka saya hai,
Exam ke dino mei sukh kisne paya hai,
Mummy papa kehte hain achche number lao,
Par inhe kaun samjhaye,yeh sab moh maya hai!!
-----------------------------------------------

Human brain is an outstanding object.
It Functions 24 hours,
52 weeks,
365 days
Right from our birth.......
And stops working
When we enter the examination hall.
-----------------------------------------------
To be a "Good Professional"
Always start to study late 4 the "EXAMS"
Because it teaches
how to manage "TIME" and tackle "EMERGENCIES"...
-----------------------------------------------

Woh na moh hai na maya hai...
Aalas tumhi ko aaya hai...
Baith kar char panne padh lo beta
Final paper tumhare papa ne nai banaya hai...

0 comments:

Powered by Blogger.

© 2011 Aadab Arz Hai..., AllRightsReserved.

Designed by ScreenWritersArena