Read & Enjoy All Type of Poetry, Stories, Text messages and much more......

Thursday, November 1, 2007

Saas Bhi Kabhi Bahu Thi

‘Saas Bhi kabhi Bahu thi’,kaun nahi jaanta,
Dekh ussey ,TV tod de , kaun nahi thaanta
Paanch saal se, roj mer ghar who aati hai,
Kaab jayangi ,who bhi nahi batati hai.

Ghar main Saas Bahu hai,phir TV per kyon dikhlaatey ho?
Do-do Saas bahu,kaisey zele, nahi samaj paate ho,
Ek to pahle hi ,ghar ki saas bahu ki kayaamat hai,
Duja yeh saas bahu ki aatank ki traahi hai,

‘Saas Bahu’ yaad dilata hai, hammey puraana ‘doordarshan’,
Jaab ek hi newsreader ke, 10 saalon tak hotey thay darshan
‘Rukawat ke liye khed’, bhi kabhi khatam na hota,
Ain moke per, Cricket ka prasaraan jaroor bandh hota.

Kuch aisa hi hai , en saas bahu main paaya hai,
Ek marata, to phir paida ho jaata, bataya hai,
Kyon aata hai ,aur naa jaane, kyon who jaata hai,
Kab aata aur jaane ,kidhar chala jaata hai.
Na jaane kis pal koi taapad khaata hai,
Doosarey pal, woh dandiya ras rachata hai,

Naitikta ki badi misaal hai yeh ‘saas bahu’,
Samajik parivartan yeh laayi, main kya kahu,
Har ghar ki saas bahu,’discipline’ ho gayi hai,
Raat ki rasoi niyaamit chod kar,
TV per dekhne inhey, tallin ho gayi hai,

Baaccha ,social value ki aab kadar karey hai,
Kya Saas aur kya bahu, yeh farak mahsoosh kare hai
Khele woh galiyaaron main saas bahus ka khel,
Bharat ki sanskruti ka aisa, na mile koi aisa mel

Aab main sochu, ‘Sasur-Jamai’ banaavu,
Thik usi samay, ussey TV per chaalavu,
Saayed, Sasur ke tevaar se Sasu jaaag jaave,
Bahu ko lekar, hamesha ke liye, bhaag jaave.

0 comments:

Powered by Blogger.

© 2011 Aadab Arz Hai..., AllRightsReserved.

Designed by ScreenWritersArena